Tuesday, March 1, 2016

Youtube Par Success Pane Ke Best Tips – Tip #1 [Hindi]

Youtube Par Success Pane Ke Best Tips – Tip #1

Dosto agar aap iss article ko search ke dwara padh rahe ho toh Jarur aap ek successful Youtuber banna chahte hai . Aur agar aap iss post ko padhte hai toh aapko isse jarur fayda milne wala hai .Kyuki mai iss post me aapko btaunga ki aap kaise apne videos par adhik se adhik views pa skte hai. Aur viewers bina subscribe kiye aapke channel se  jayenge nhi .
                Waise Youtube par views badhane ka koi shortcut nahi hota .Jaise kisi bhi chiz ke process hota hai waise hi youtube par videos ko viral karne ka tarika hota hai .
Agli baar se video banane ke liye jarur dhyan de :-
#1 Be Shareable :
Dosto Be Shareable ka matlab ki kya aapke videos me kuch aisa hai ki log aapke video ko share karenge. Agar aap aisa video nahi banate toh Youtube Par aise video ko upload krne ka koi fayda nahi hai. Aap aaj se hi sochna chalu kar de ki kon sa video banaye ki log usko share kare .
Sbse Best tarika:- Aap sochiye ki last time aapne kon sa video apne friends ke sath share kiya tha . Aur fir apne video me bhi kuch iss tarah ka climax daaliye jisko log dekhe toh bina share kiye na jaye.
Agar aapka video Shareable hai toh yah aapke susbcribers badhane me bahut help karta hai .Aur sath sath aapke videos par views bhi faadu aate hain.
यह भी पढ़ें:
#Logo ke feeling se related video banaye:
Mere kahne ka matlab yah hai ki aap apne video me kuch aisa dikhaiye jisse log usko feel kar sake .Uss video ko apne life se relate kar sake. Mai kuch example deta hu-
Examples:-
My First Day in College
My First Smartphone
Every Girlfriend in the world
Kisi Festival ya event ke time par usse related video
Maine bss video ka title suggest kiya hai . Agar aap issi ke jaise kuch aisa video banate hai jo lagbhag bahut se logo ko relate karta hai . Toh iss tarah se aapka video adhik se adhik dekha jayega.
#Hot topic par video banaye:
Dosto jab bhi aap news me ya apne aas pass kuch aise chiz ko notice karo jispar video ya reaction video banayi ja skti hai toh aap us par banao . Jab aap topical video daalte ho toh logo ko trending chize jayda pasand hoti hai .Aur wo iss tarah ke content ko search bhi karte hai .Aur agar unhe pasand aata hai toh usko social media par share bhi karte hain.
#Problem Solve karne ka video :
Dosto agar aapko kisi field me bahut hi achha knowledge hai toh aap uss chiz par video bana skte hai . Isse logo ko bahut help milti hai . Aur iss type ke videos ko How To category me upload kiya jata hai
Example:-  How to create social account (Facebook,google , twitter)
#Do not copy anyone:-
Dekhiye dosto , Bahut se New Youtuber sochte hai ki kisi dusre ke channel par achha views aa raha hai. Mai bhi usi tarah ka video banunga toh mere channel par bhi views aayega . Dosto yah sochna bilkul hi galat hoga. Lekin agar aap kisi ka copy nahi karke khud ke talent ko pehchan kar video banate hai toh aapko sirf views aur subscribers hi nahi balki ek pehchan bhi milegi .
Aap dusro ke ideas ,concept ko bilkul copy mat kare. Mai aisa isliye bol raha hu .Kyuki aap Youtube par naye hai lekin jo Youtube dekh rhe hai wo naye nahi hain. Jaise hi aapko dekhenge ki aap copy video banate ho toh aapko koi nahi dekhega .
तो दोस्तों इस सक्सेस टिप में इतना ही ,अगर आपको youtube या ब्लॉग्गिंग से related कोई भी प्रॉब्लम है आप मुझसे कमेंट द्वारा बता सकते हैं. मैं आपके प्रॉब्लम को Solve करने की पूरी कोशिश करूँगा . और प्लीज आप इस पोस्ट को अपने दोस्तों के साथ शेयर करना न भूले. और मेरे ब्लॉग का न्यूज़ लैटर को सब्सक्राइब कर लीजिये जिससे आपको नए पोस्ट आपके जीमेल इनबॉक्स में मिल जायेंगे .

0 comments:

Post a Comment