Tuesday, March 1, 2016

Free Calling Ke liye Best Apps [Hindi]

Free Calling Ke liye Best Apps:-


Aaj kl free me internet , free me call karna ,free me message send krna  bahut hi popular hai . Lekin free me calling ke liye acche apps ko dhudh pana thoda mushkil hota hai . Aise me mai aapko kuch aise apps ke bare me btaunga jo ekdum best apps hai aur ye apps lagbhag sabhi platform par kaam krte hai .Jaise windows phone ,iOS , Android , PC etc sabhi jagah par work karte hai .
Toh maine kuch apps ko uske detail aur features ke sath list kiya hai :-

# 1.Google Hangouts:- 


 Google hangouts aisa app hai jo voice call , group voice call , photo sharing , message , voice message  ,video etc bahut hi aasani se bheji ja skti hai .Sbse bdi khasiyat yah hai ki Yah app Android ,iOS aur PC tino platform par use kar skte hai . Aur maximum logo ke pass google account hota hai jisse login karna bahut hi aasan hai .

#2. Viber:- 

Sabhi smartphone users iss app ko bakhubi jaante honge aur isko use bhi karte honge . Agar aapne abhi tak isko try nahi kiya hai toh aap behichak iss app ko aaj hi download kar lijiye kyuki yah app Bhi windows , Android par bahut hi ache se kaam karta hai . Iss app ke help se aap dusre viber user ko free me voice call  ,message ,  location etc share kr skte hai . Iss app me emoji ( symbols) send krne liye bhi option hai .

#3 WhatsApp :

World ka sbse popular messenger jisme voice calling ki bhi suvidha di gayi hai .WhatsApp ko sabhi age ke log use karte hai . Iss app me aap voice call ke alawa , voice message , message ,group chat , contact sharing , location sharing , photo & video sharing etc kar skte hai wo bhi bilkul free.

#4 Line:- 

Whatsapp ,Viber ki tarah Line App bhi bahut famous app hai . Jisme aapko free voice calling ki suvidhaa ke sath messaging , ,video calling , group chat bhi milti hai . Iss app par aapko 10000 se bhi adhik attractive emoji milte hai . Yah app apko sabhi platform par available milega .

#5 Nimbuzz:-

Nimbuzz application bahut hi purana aur popular app hai .Jisne bahut saal phle hi VOIP calling ki suvidha diya tha . Isse aap low rate par international call bhi kar skte hai . Nimbuzz Android ,iOS ,windows phone ,windows pc etc par chalne wala app hai . Yah 2G par bhi achha work karta hai .

#6 Boss Revolution :- 

Windows , Anroind smartphones par use hone wala Yah app bhi Internation calling aur messaging ki suvidha deta hai . Iss app ka use karke aap PC aur phone se chat kar skte hai .International calling ke liye low rate cost aapko pay karna padta hai.


Toh friends yah apps aap behichak use kar skte hai . Aap apni suvidha ke according koi bhi app install kar skte hai aur app ka maza le skte hai .

0 comments:

Post a Comment