Tuesday, March 1, 2016

Android या PC में Fast हिंदी कैसे टाइप करें [Hindi]

Mobile Ya PC me Fast Hindi Kaise Type Kare:-

Hello Dosto !! Kaise ho aap sab !! Ummeed hain , aap log ache honge. Aaj mai aap logo ko iss post me bataunga ki aap kaise apne smartphone ya PC me Hindi Font me fatafat typing kar skte hain 

Kuch log ko Hindi me Messaging ya Blogging karna bahut hi achhha lagta hai .Lekin PC ya Smartphone ke traditional Hindi Keyboard me utni jaldi typing nahi ho pati jitni jaldi hum Roman me kar pate hai . Mai jis tarike se post likhta hu isko hi Roman kaha jata hai.  और अब जिस तरीके से लिखा जा रहा है , इसको हिंदी font कहते हैं . तो अगर आपको भी इसी तरह के मेसेज या ब्लॉग पोस्ट हिंदी font में जल्दी से लिखना है तो आप भी लिख सकते हैं . अब आपको कीबोर्ड में एक एक अक्षर को ढूढना नहीं पड़ेगा . सिर्फ आपको रोमन में लिखना है और गूगल के द्वारा बनाये गए ऑफलाइन एप्लीकेशन से अपने आप हिंदी font में बदल जायेगा . तो चलिए पहले देखते हैं की PC में हिंदी font टाइपिंग के लिए क्या करना  पड़ेगा:-
PC me Hindi Font Likhne ke liye:-
Step#1:- Sbse phle aap iss link se “Google Input Tool” download  karle .

Note:- Aap chahe toh Hindi ke alawa kisi aur regional language ko bhi download kar skte hain . Jaise Panjabi , Gujrati ,Bengali etc.
Step#2:- Jb Google Input Tool Install ho jaye tab aap ko ek aur installation process milega .Kuch der aapko wait karna pdega.

Step#3:- Fir jab puri tarike se input tool install ho jaye tb aapko  Right Corner me ek “ENG” likh kar option dikhega .

Step#4:- Ab aap uss “ENG” par click karenge .  Usme aapko Hindi Language select karne ke liye option milega . Aap Hindi Par click karke usko apne input language ke roop me set kar lijiye .


Step#5:- Ab aap jo kuch bhi type karenge roman me ab wo siddha Hindi me convert ho jayega . Iske liye aapko net ki bhi jarurat nahi padegi .

Toh dosto ya tarika tha PC ke liye . Yani aap apne computer ya laptop me ek Chhota sa Application install karke Hindi Font me offline typing kar skte hain .
Smartphone Me Kaise Kare Hindi Typing:-
Ab dosto jaan lete hain ki Smartphone (android ) me Teji se Hindi Typing Kaise karte hain . Dosto jaisa ki aapko PC me ek application ki jarurat padi jo Google ke dwara provide kiya gya hai . Ab issi tarah google ne Android Phones ke liye bhi ek keyboard Banaya hain   Jiska naam hai “ Google Indic Keyboard” .
Kaise set karte hai mobile me Hindi Typing:
Step#1:-  Sbse pehle aap Play Store se “ Google Indic Keyboard “ Download karke install kar lijiye.

Step#2. Ab aap “Google Indic Keyboard “ ko open kijiye.

Step#3:- Jab aap iss app ko open karte hain toh aapko kuch options dikhayi denge . Jo niche dikhaye gaye image me hai.


Step#4:- Ab aapko input language set karne ke liye bola jayega . Aap select input language par click kijiye.


Step#5:-Fir aap “Use system language” ko on kar dijiye . Agar aapko koi aur language choose karna hai toh aap usko off karne ke baad dusre language ko set kar skte hain. Maine Hindi & Hinglish Select kiya hua hai.


Step#6:- Dosto ab aap jo kuch type karenge aapka likha hua Hindi Font me automatic convert ho jayega .

0 comments:

Post a Comment