Removable Battery Vs Non-Removable Battery : Which One is Better[Hindi]:
Dosto aajkal ke jo Smartphones aa
rhe hai ab laghbagh sabhi smartphones me Non-Removable battery aa rahi hai .
Non-Removable battery ka matlab ki aap uss battery ko jab chahe tab Phone se
nikal nahi Sakte hain . Agar non-removable battery ko nikalna hai toh wo bss
company ke service center par hi possible hai. Chaliye mai aapko detail me
btata hu ki Kya Non-Removable battery successful hai ya nahi .
Mujhe lagta hai aap logo ke man
me ye jarur sawal hoga ki Kya Non-Removable battery achha hai ya nahi Ya fir agar
kharab ho gya toh kaise change hoga etc. Agar aap koi phone lene
ja rahe hote
ho aur aapko pata chlata hai ki usme battery ko nikal nahi skte .Fir aap
iss confusion ke liye kisi friend se puchte ho .Aur aapko bolta hai
bhai phone me
lo .
Toh dosto agar aisa kuch aap
sochte hai toh aap bilkul pareshan mat hoiye . Mai aapko non-removable aur
removable battery ke bare me detail se batata hu .
Waise
agar iss type ki battery ke sahi term ki baat kare toh iska naam hota hai –
User Removable Battery aur Non User Removable Battery. Iska matlab yah hai ki Battery toh dono case
me nikal jati hai lekin fark bss itna hai ki User Removable battery ko user jab
chahe nikal skta hai aur Non User Removable battery ko user nahi nikal skta .
Toh dosto agar aapki non- removable battery kharab bhi hoti hai toh usko change
karne me koi dikkat nahi aayegi.
Non- Removable Battery Ki Jarurat Kyu Padi:-
Dekhiye dosto ye non removable
battery phle ke phones me nahi hota tha. Lekin aaj kl ke phones me yah trend
ban chukka hai .Toh agar iske reason ke bare me baat kare toh sbse phla reason
yah hai ki –
#1. Phone ka Design aur attractive ho jata hai.
Kyuki agar aap non-removable
battery wala phone lete hai toh wo design me kafi slim ho jata hai. Kafi Halka
ho skta hai ya Metal ka ban skta hai. Lekin agar aap user removable battery
wala phone lete hai toh wo thoda sa bhari ,unattractive ho skta hai. Toh looks
me aur achha phone banane ke liye Non user removable battery ki jarurat padi.
यह भी पढ़ें:
#2:-Removable Battery Ka Phool jana:-
Dosto jab phle ke
phones me Removable battery aati thi .Toh wo normally 1-2 Saal me kharab ho
jati thi aur jab hum dusri battery lete the toh charge karne par battery phool
jati thi . Kabhi Shot-Circuit ho jata
tha. To hiss tarah se blaim jata tha uss phone ki company ko . TO hiss tarike
se phone ke companies ne Non User Removable battery banana Chalu Kiya .
#3 Company Ka Fayda:-
Simple si
baat hai .Agar aap kisi phone ke battery ko change karwate ho aur agar wo
battery aapke phone ke company ki nahi hai toh thodi sasti milti hai aur aap
uss ko hi use karte ho. Jabki Official phone ki battery thodi costly ho sakti
hai . Isliye iss tarike se company ko removable battery me koi fayda nahi hota
tha . Aur agar aapke phone me non-removable battery laga hua hai toh kharab
hone ke baad aap sirf service center par hi change karwa skte hai jisme company
ko fayda mil jata hai.
Non Removable Battery Ke bare Me Myth :
#1.Dosto bahut se user sochte
hain ki Non-Removable battery change nahi ho skti hai .Toh ab to aap jan hi
gaye ki non-removable battery ko kaise change kar skte hain. Waise bhi battery
ki life aaram se 2-3 saal hoti hai.Aur aap socho ki aapne kon si phone ko 3
saal tak chalya ho . Mujhe lgta hai 1% log hi chalaye honge.
#2. Bahut log sochte hai ki agar
battery removable hai toh usme dusri battery ko bhi charge karke extra time ke
liye rakh lenge. Lekin aap socho aaj ke time me kon aisa karta hai. Kitna
boring sa lagta hai Aur waise bhi aajkal ke time me Power bank ka trend chal
gya hai jo lagbhag sabhi smartphones user ke pass available hai.
#3: Hang Phone ko Kaise off kre:
Phle jab Nokia ke Symbian phones aate the aur kabhi kabhi phone ko use karte
samay jab phone hang karta tha toh hum battery nikal dete the aur fir switch on
kar lete the. Lekin abhi bahut se user sochte hain ki agar non-removable
battery wala phone hang kar jaye toh usko kaise off karenge. Lekin Friends !
Dekhiye aaj ke time job hi non removable phone aa rha hai usme kisi bhi time
phone ko restart karne ke liye shortcut diya rhta hai. Jaise Apple ke iphone me
Power Button+ Home Button ko ek sath dabane par phone restart ho jata hai. Aur
android phone me bhi aisa hi hai .Toh aap ye confusion apne dimag se nikal
dijiye ki non-removable battery wale phone ke hang ko kaise handle kiya jayega.
Toh Dosto yahi sb kuch aise
reasons hai jiske wajah se non-removable battery market me aaya .aur hume new
technology se rubru hone ka mauka mila. TOh friends agar koi nayi technology
aati hai toh hume usko boycott nahi usko face karna chahiye aur uske mechanism
ko smajhna chahiye.
दोस्तों इस पोस्ट में इतना ही . अगर आप भी किसी ऐसे technology से कंफ्यूज हैं तो बिना अपना टाइम गवाए इस कमेंट बॉक्स में कमेंट करके हमे बता दीजिये , आपका confusion दूर करने की पूरी कोशिश करेंगे .
0 comments:
Post a Comment