Dosto aajkal smartphones ka
zamana aa gya hai. Aur smartphones me sbse jyada jo Chhaya hua hai wo hai
Android phones. Aise me hume Android phone se related kuch aise terms hai jinko
jaanne ki उत्सुकता hoti hai . Toh iss post me mai aap logo ko Android se hi related kuch aise terms bataunga jo aapne kahi suni
toh hogi lekin shayad hi iske bare me detail se pata hoga .
Toh
chaliye mai sbse phle Android BootLoader ke bare me batata hun.
Android BootLoader Kya Hota Hai:-
Dosto Bootloader ek aisa code hai jo phone ko start karte time par Run hota
hai. Bootloader aapke phone ki system files, missing files ko check karta hai .
Aur uske baad bootloader aapke phone ko on karta hai . Bootloader 2 type ka
hota hai .
Locked Boot Loader
Unlocked Boot loader
Locked Boot Loader
Unlocked Boot loader
Bootloader ko unlock krne ke baad hi hum apne android phone me custom ROM
install kar skte hai ya Kernel Change kar skte hai. Lekin locked bootloader me ye sb karne ki
permission nahi hoti hai. Aur maximum phone ki companies bootloader ko locked
hi rakhti hai kyuki company yah nahi chahti ki unke phone me custom ROM ya
Kernal change ho.
Kabhi kabhi phone ko
flashing ya custom ROM install karte samay koi file miss ho jati hai tb
bootloader thik se Run nahi hota hai aur aapka phone booting mode me hi rhta
hai .
Android me Kernel Kya Hota Hai:-
Friends agar hum baat kare Kernel ki baat kare toh yah sabhi systems ke
operating system se connected hota hai. Kernel sabhi tarah ke OS jaise Android
, Windows ,MAC ,Blackberry etc me hota
hai. Kernel ka kaam yah hota hai yah phone ke Hardware aur Software ke bich me
ek connection provide karaata hai .
Jaise agar kisi software ko kisi Hardware ki jarurat hoti hai toh wah kernel ke
dwara hi kiya jata hai.
For Example:- Agar hum koi music play karte hai toh uske liye hum uss music
file par Tap karte hai toh music software
kernel ko request bhejta hai ki usko Speaker ki jarurat hai .Fir kernel
uss software ko speaker ko use karne ki permission deta hai.
Aur agar aap apne phone ke kernel ko change karte hai toh isse aapke phone ke performance ko badha skte hai ya slow kar skte hai .
Android Recovery Kya Hai:-
Recovery ek aisa software ya tool
hai jo sabhi phones me hota hai . Recovery 2 tarah ki hoti hai :-Stock
Recovery
Custom Recovery
Custom Recovery
Stock recovery phone company dwara sabhi phones me provide hoti hai. Aur
uss recovery ki madad se aap apne phone me official ROM ko flash kar skte hai
yaa fir aapke phone me jo ROM hai uska backup le skte hain. Aap apne phone koformat ya wipe kar skte hai. Ye sabhi kaam aap Stock Recovery se kar skte hain.
Lekin agar aap apne phone me custom recovery flash karte hai . Custom recovery ki help se
aap un chizo ko flash kar skte hai jo aapko stock recovery me permission nahi
milti hai . Phone ko root karne ke liye ya phone ko aur jyada advance bnane ke
liye aapko custom recovery ki jarurat padegi.
ROM kya hai:-
Waise toh ROM ko hum log bolte hai Read Only Memory .Lekin sirf itne se
hume iske bare me kuch pata nahi chalta hai. ROM ka matlab yah hai ki aapke
phone ka pura system file ya job hi basic software hai ya jab aap pehli baar apne phone ko ON karte
hai toh jitni chize milte hai wo sab chize ROM me install hoti hai. Inn sab
system software ko hum bss read kar skte hai lekin usko delete ya change nahi
kar skte hain.
ROM bhi 2 tarah ki hoti hai:-
Stock ROM
Custom ROM
Stock ROM
Custom ROM
Custom ROM wah ROM hai jo Google dwara provide kiye gye ROM ko kisi phone
ki company dwara modify kiya hua rhta hai . Isiliye hume alag alag company ke
phone ka Interface alag alag milta hai. Cutom ROM ke dwara hum apne phone ke
options me changes la skte hai .Lekin Stock ROM me hum koi changes nahi kar
skte .
Ye custom ROM alag alag developers apne hisab se develop karte hai . Kyuki
jo basic ya stock ROM hota hai wo thoda km attractive hota hai.
Flashing Kya hoti hai :-
0 comments:
Post a Comment