Tuesday, March 1, 2016

Li-Fi Kya Hota Hai ? Wifi Vs Lifi [Hindi]

What is LI-FI ? and How to increase internet connection using LI-FI?

Hii ,dosto ..
Aapne Li-Fi ke bare me suna hoga. Aaj mai aapko Li-Fi ke bare me bataunga ki Li-FI kya hai aur iska use karke hum apne internet connection ko kaise badhaye.
What is Li-Fi?

Li-Fi ka pura nam hai “Light-Fidelity”. Li-Fi ki suruaat “university of Alembert” ke professor “Haralad Hass” ne, aur unhone 2011 me “DEGTOK” me apni khoj public ke samne rakha tha.
LI-FI VLC (Visual Light Communication) ke concept par based hai. VLC ka concept yah hai ki agar LED ko constant input diya jaye to LED constant output degi, Agar hum input ko teji se ghatayenge  ya badhyenge to output me bhi teji se changes hoga , aur iski madat se aap communication kar sakenge.
Example , jaise aap apne tv remote me koi button press karke hai to remote me IR bulb laga hota hai, vo use pattern me blink karta hai , aur  tv ka receiver vahi fluctuation ko detect karta hai, aur functionally vo aage wala kam kar deta hai.
LI-FI ka concept isi tarah hai , par isme kai sare LED bulb hoge jisase aapko internet speed tej mile, aur dher sare user ke bich me data transmit karne ka fayeda mile.
Basic concept of LIFI


Dosto , aap niche figure me dekh sakte hai ki VLC ka basic concept kaisa hai, Jo pichhe se aapko “Internet” ka connection mil raha hai, vo “Lamp Driver” se hokar jata hai, aur “lamp driver” apne power level ko fluctuate karta hai, jiske madat se “Led Lamp” ke output density me variation milata hai. Aur finally jo aapka “Computer” hai uske sath “Receiver Dongle” laga hua hai , uske vajah se aapko “Photo Detector” ke madat se connection mil jata hai.
LI-FI aur VLC ke concept me kya antar hai, VLC kevel ak concept hai, but LI-FI “High speed Bidirectional” proper technology hai jo is concept par based hai.
Usake alava LI-FI ak facility deti hai, “ROOMING” ki  iska matalb ye hai ki aap ki agar aap light source ke niche hai aur aap move kar rahe hai to aapka connection nahi katega. Agar aap ak light spot se nikalenge aur dusare light spot me jayenge, vo automatically dusare light spot ko switch kar dega.



Uske bad  LI-FI hai vo facility deti hai “Multiple Access” ki, matalb aap ak sath ak hi light stream se multiple user access kar sakte hai.agar aap apne ghar me jo bulb use karte ho usako led se change karke usme power drivers laga de to,  aapko  light ke sath sath fast speed net bhi mil jayega.
Benefits of LI-FI compression to WI-FI
High Speed :-


LI-FI ki speed 100gbps ki test kar chuke hai aur light ka spectrum(bandwidth) hai , vo radio frequencies se 10000 times jyada hai. Isaka mtalab hai ki aap kai sare connection ko aap ak sath connect kar sakte hai, but unake bich interference dekhne ko nahi milega.

Security :-

Wifi ya wireless signal deewaro ke hokar bhi transfer ho sakte hai, jisase vo user jo aapke najdik hai vo usko intercept kar sakta hai. Lifi me aisa nahi hai . Jabki lifi light ke concept par kam karki hai aur light deewaro ke par nahi ja sakti , agar      aap koi kam room me lifi se kam kar rahe hai , to room ke bahar ka adami n hi lifi ke bare jan payega aur n hi use kar payega.
Data Density :-

 Wireless signals spread hote hai, agar mai hum router lagayenge to usaka signal charo disao me failega. Aise me jo signal me pass nahi aa rahe hai ,vo mere liye waist hai. Jabki lifi humara light hai aur usako hum specific point par target bhi kar sakte hai. Isase data density badh jati hai, means hum kam area me Jayda data transmit kar sakte hai.
NO Radiation :-


 Lifi light pe based hai aur light se hume radiation ka koi khatra nahi hai , isaliye yah advantage hai Normal Environmental Safety ka . Jabki wareless medium se hume radiation ki problem hoti hai.
MYTH ABOUT LI-FI
Apane bahut sari galat bate lifi ke bare me suni hogi.
#1.Jo lifi hai ,vo wifi se 100 guna tej nahi hai. Wifi ka jo latest version hai ,vo IEEE 802.11ad hai, aur isaki speed 7 gbps hai, aur lifi me humako theoreticaly 224 gbps ki speed mil chuki hai aur 100 gbps speed ki testing ho chuki hai.
#2.Jo apko speed milegi usase aapki movie 2, 3, ya 10 second me download ho jayengi , par aisa bilkul nahi hai. Jo internet service hai vo internet service provider par depend karti hai, aur vo web server par bhi depend karte hai aur mujhe nahi lagta ki koi bhi web server aapko 100 gbps ki speed de sakta hai.
Application of LIFI
LIfi ke bahut sare application hai, aur humare bahut jyada kam aa sakti hai.
#1.Smart lighting :-  jaise humare yanha janha par bhi street lamp lage hote hai , vanha par hum LI-FI ke hot spot ka use kar sakte hai. Jisase aap publically bhut logo ko internet ke sath sath light bhi provide kar sakte hai.
#2.Mobile Connectivity :-  Laptop , smart phone, mobile, tablets, aapas me bhi ak dusare se LI-FI ke jariye connect ho sakte hai, aur jo range hogi vo thodhi kam hogi , lekin jo “Data Rates” hai ko kafi  “High” milegi , aur “Security” bhi jyada ho jayegi.
#3.Difficult Environment: - Like janha par miles hai, ya petrol chemical plant hai , vanha par radio frequencies nukasandayak ho sakti hai, jabki hum LI-FI ka use karenge to radiation ki problem nahi hogi.
#4.In Airplane :-  Airplane me har ak sheet ke upper light bulb laga hota hai, us light bulb ke madat se aap har ak passenger ko limited high speed data provide kara sakte hai.
#5.Under Water: - Wi-Fi ya jo other internet provide device hai, usaka use hum pani ke ander nahi kar sakte hai jabki LI-FI ko hum pani ke andar aasani se use kar sakte hai.
#6.Hospital: - LI-FI n hi koi electromagnetic wave emit karti hai aur n hi kisi ke sath interfere karti hai , to aaise me aap MRI Scan me use kar sakte hai, jisase aapko interference dekhane ko nahi milega.
LI-FI abhi keval do chijo me hi WI-FI se pichhe hai ,
first , “Range” isaki WI-FI se kam hai , kyunki aapka jo unit hai vo chhat par laga hai, aur aap niche baith kar use kar rahe hai , jisase aapko range to kam par speed kanhi jyada milegi.
Second, “Market Maturity” ki , abhi ye nayi technology hai ,aur aaj ke samay abhi itana development nahi hua hai ki ye aam admi ko mil paye, jisase isako abhi market me aane thodha time lagega but aane wale samay me yah WI-FI se aage nikal jayega.

Dosto aaj humane LI-FI ke bare me bat ki , ummid hai ki aapko LIFI ke bare me bahut sari nayi jankariya mili hogi. Jaldi hi ye technology aapke smart phones, laptop, PC, watches, power socket, camera , etc , aap apne sabhi smart devices ko ak sath led bulb se connect kar sakte hai. Aane wale samay me ye technology aapke device me in hi build milegi.


दोस्तों उम्मीद है कि यह पोस्ट आपको पसंद आई होगी . अगर आप को कोई चीज़ समझ न आई हो तो आप कमेंट करके पूछ सकते हैं . और प्लीज इस ब्लॉग का न्यूज़ लैटर सब्सक्राइब कर लीजिये जिससे आपको नये पोस्ट आपके इनबॉक्स में मिल जायेंगे .!!

0 comments:

Post a Comment