WHAT IS SAR VALUE IN MOBILE?
Hii dosto, Aap logo ne ek cheej bahut
bar suni hogi, jisaka nam hai “SAR Value” , chahe humne mobile ke box par padha
ho ya kisi mobile review me dekha ho ya kabhi paper me padha ho.
To Dosto , aaj mai aapko bataunga ki SAR Value kya hoti hai.
Dosto , humare mobile me ak antenna
hota hai, jo 2 kam karta hai, ek mobile phone se signals ko mobile tower
tak bhejane ka aur dusara signals ko mobile tower se mobile phone me receive
karne ka, ya phir ye WI-FI aur Bluetooth ke
dauran bhi kam karta hai.
In sabhi cheejo me jo antenna kam
karta hai vo Electromagnetic waves tarnge hoti hai, unko bhejane se aur unko
catch karne se hi kaam karta hai . Jb tarange(Waves) bheji jati hai, vo failati hai,
jisase kuchh tarange( Waves) loss ho jati hai .
Man lijiye humne 100 tarnge (Waves) bheji
usme se 80 pahuchi aur 20 aas-pass ke environment me hi radiate ho jayegi. Jab
phone ka antenna pure power se kam karta hai aur jab vo high voltage par hota
hai to us time par radiation jyada hota hai ,matalab aap halka kam kar rahe hai
to radiation kam, nahi to radiation jyada hota hai. Agar aap ne mobile data aur
aap call par bhi hai, ya aap aur kai sare kam ak sath kar rahe hai to aur
jyada.
SAR value
“SAR (Specific Absorption Rate) value
means vo rate jo aapka body energy ko ya us holes radiation ko absorb karta hai
aur Jo aapke body me tissues hai usko absorb karte hai.”
Ye value do part me divide ki gayi
hai , first sir (head) aur Second remaining body, Sir (head) ke liye unhone
alag SAR Value specified ki hai kyun ki jab hum call par hote hai to sir (head)
humara sabse najdik hota hai, aur jo
body hai jb aapka phone aapke jeb me hoga ya aapke hath me hoga to usake liye
alag SAR Value define ki gayi hai.
SAR Value Ki Kya Limit Hai :-
SAR Value ke liye alag-alag country
like USA, CHINA, INDIA, ke government ne ek limit decide ki hai,
means agar kisi company ke mobile ki SAR Value ek limit se upper hai to
aap apna phone market me
nahi bech sakte hai. India aur USA ki SAR Value same hai , vo mapte hai 1
gram
tissue ka average lekar jo hoti hai 1.6 watt/kg , means 1 kg tissues
aapka 1.6
watt power absorb kar sakta hai. Aur jo Europe me hai vo 2 watt/kg,10
gram
tissues ka average gyan me rakh kar.
यह भी पढ़ें:
Phone Me Kitna SAR Value Hona Chahiye:-
Agar aapko koi phone lena hai to
usake liye aap nischint rahe kyunki jab tak mobile ki SAR Value limit ke andar
nahi rahegi tab tak vo market me nahi aayegi, to bhi agar aap dekhana chahenge
to aap kam SAR Value wala hi phone le.
Aur aap ak bat aur hamesa gyan me
rakhe ki jab aapke mobile me 3G ya 4G data on ho aur aap call par bhi ho, to aap
call ke liye “Head phone” ka use kare. Isase aapka phone aapke sir(head) ke
najdeek nahi hoga, jisase aapko brain tumour ya cancer jaise bimariyo se koi
khatra nahi rahega aur aap Secure rahenge.
Ye thi SAR Value value ke bare
jankariya, ummid hai aapko SAR Value ke bare me bahut kuchh pata chala hoga.
If you ever want to change or up your university grades contact cybergolden hacker he'll get it done and show a proof of work done before payment. He's efficient, reliable and affordable. He can also perform all sorts of hacks including text, whatsapp, password decrypt,hack any mobile phone, Escape Bancruptcy, Delete Criminal Records and the rest
ReplyDeleteEmail: cybergoldenhacker at gmail dot com