Tuesday, March 1, 2016

Google Adsense Vs Affiliate Marketing : Which One is Better 【Hindi】

Google Adsense Vs Affiliate Marketing:-

Hi friends .. Agar aap ek blogger hain ya koi blog start karna chahte hain toh iss post ko padhna aapke liye faydemand ho sakta hai . Aapko bta du ki blog se money earn karne ka sbse famous tarika jo hai wo hai – Google Adsense . Lekin iske sath sath jaise jaise aap blogging me purane hote jayenge aapko Affiliate Marketing se paise kamane ka idea milta hai . Affiliate Marketing  Google Adsense se kafi alag hai . Bahut se aise affiliate program hai jisko approve karana Google Adsense se bhi easy hota hai .
Google Adsense Aur Affiliate Marketing me Antar:- 

Dosto agar aapne Google adsense ke sath sath Affiliate marketing ka naam suna hai toh achhi baat hai lekin agar nahi suna toh mai aapko inn dono me basic difference bata deta hun . Basically Adsense ek Google ki service hai jo ache blogs aur website par ads show karwati hai .Aur uss Ads ka kuch revenue blogger / website owner ko pay karti hai . Blog par jitney ache visits hote hain utna hi achha income hota hai. Adsense tabhi pay karta hai jb Ads par koi visitor click krta hai .

यह भी पढ़ें:

Jabki Affiliate marketing me aap affiliate marketer ke kisi product ka banner apne blog par lagate hain aur jab koi visitor uss product ko purchase krta hai toh aapko kuch commission milta hai . Lekin agar visitor bss click karta hai aur purchase nahi karta toh aapko kuch nahi milta hai . Aisa bhi ho skta hai ki 1000 log uss link par click karte hain but unme se bss 1-2 log hi uss product ko kharidate hai toh aapko sirf unhi 1-2 products ka commission milega .
     Ab inn dono ko compare kiya jay toh Adsense thoda sa better ho skta hai affiliate marketing se . Lekin agar aapka blog kisi technology , gadgets ya camera se related hai tb aapke liye Affiliate marketing jyada fayda dila skte hai . Agar aap kisi product ka review bhi karte hain toh aapko affiliate marketing choose karna chahiye . Agar aap blogging ke field me naye hain toh aapke liye dono mix karke achha rhega .Mera matlab ki aap Adsense aur Affiliate Marketing dono ka use kar skte hain apne blog par .Aur fir kuch time ke baad aap khud analyze kar sakte hain ki kon sa better hai .Fir aap usi par focus kar sakte hain .
Google Adsense Aur Affiliate Marketing Dono Ek sath Kaise Use Kare:-
Agar aap apne blog par Adsense ke sath sath Affiliate marketing bhi use karna chahte hain toh aap use kar skte hain .Aur iske liye Google adsense bhi allow karta hai . Toh aapko karna ye hai ki aap google adsense ke ads ko jaise aapne lagaya hai waisa hi lage rhne de . Aur affiliate links ko post ke according uss post ke content ke bich me link ko lagaye . Jisse visitor ki najar padegi aur us link par click karke product ko kharid skta hai . 
Kuch Affiliate Marketing Company in India:-
Mai aapko kuch aise company ke  bare me bta raha hu jiske through aap apne blog par affiliate link laga kar paise kama skte hain. 
Flipkart:- Flipkart ke bare me toh aapne suna hi hoga. Jo India ki no . 1 Online Shopping Web Portal hai . Aur iss website par lakho- karodo log ka bharosha hai . Toh aap iska fayda utha skte hain . Iske liye aap apne blog par post se related products ke link ko lga skte hain . Flipkart ke affiliate par sign up karne ke liye yaha se jaye :- FLIPKART AFFILIATES
Snapdeal:- Dosto mujhe ummeed hai ki Snapdeal ke bare me bhi mujhe jyada batane ki jarurat nahi hai  . Snapdeal bhi Flipkart ki tarah kaam karta hai . Toh aap snapdeal ke affiliate par sign up karne ke liye yah se jaye :- SNAPDEAL  AFFILIATES
Amazon India: Dosto Amazon bhi ek shopping site hai toh aap iske affiliates ko bhi use kar sakte hain . Amazon India ke affiliate ko signup karne ke liye yaha se jaye :- Amazon Affiliates
      Dosto aise hi aapko kisi aur affiliate marketing company ke bare me janna hai toh aap simply google me uss company ka naam type kijiye aur uske aage likh dijiye Affiliates . For example :- Flipkart Affiliates .
Fir aapko pata chal jayega ki wo company affiliate marketing karti hai ya nahi .
  दोस्तों इस पोस्ट में इतना ही , आगे में एफिलिएट मारकेटिंग में बारे में और जानकारियां शेयर करूँगा इसी ब्लॉग पर उसके लिए मेरे इस ब्लॉग TEchyukti के न्यूज़ लैटर को सब्सक्राइब कर लीजिये .. जिससे आपको मेरे नए पोस्ट आपके इनबॉक्स में मिल जायेंगे . और अगर आपको गूगल Adsense या एफिलिएट Marketing से related कोई भी जानकारी चाहिए तो आप मुझे ईमेल या नीचे कमेंट कर सकते हैं .

1 comment:

  1. If you ever want to change or up your university grades contact cybergolden hacker he'll get it done and show a proof of work done before payment. He's efficient, reliable and affordable. He can also perform all sorts of hacks including text, whatsapp, password decrypt,hack any mobile phone, Escape Bancruptcy, Delete Criminal Records and the rest

    Email: cybergoldenhacker at gmail dot com

    ReplyDelete