Google Adsense Vs Affiliate Marketing:-
Hi friends .. Agar aap ek blogger hain ya koi blog start karna chahte hain
toh iss post ko padhna aapke liye faydemand ho sakta hai . Aapko bta du
ki blog se money earn karne ka sbse famous tarika jo hai wo hai –
Google Adsense . Lekin iske sath sath jaise jaise aap blogging me purane
hote jayenge aapko Affiliate Marketing se paise kamane ka idea milta
hai . Affiliate Marketing Google Adsense se kafi alag hai . Bahut se
aise affiliate program hai jisko approve karana Google Adsense se bhi
easy hota hai .
Google Adsense Aur Affiliate Marketing me Antar:-
Dosto agar aapne Google adsense ke sath sath Affiliate marketing ka naam suna hai toh achhi baat hai lekin agar nahi suna toh mai aapko inn dono me basic difference bata deta hun . Basically Adsense ek Google ki service hai jo ache blogs aur website par ads show karwati hai .Aur uss Ads ka kuch revenue blogger / website owner ko pay karti hai . Blog par jitney ache visits hote hain utna hi achha income hota hai. Adsense tabhi pay karta hai jb Ads par koi visitor click krta hai .
यह भी पढ़ें:
Jabki
Affiliate marketing me aap affiliate marketer ke kisi product ka banner
apne blog par lagate hain aur jab koi visitor uss product ko purchase
krta hai toh aapko kuch commission milta hai . Lekin agar visitor bss
click karta hai aur purchase nahi karta toh aapko kuch nahi milta hai .
Aisa bhi ho skta hai ki 1000 log uss link par click karte hain but unme
se bss 1-2 log hi uss product ko kharidate hai toh aapko sirf unhi 1-2
products ka commission milega .
Ab inn dono ko compare kiya jay toh
Adsense thoda sa better ho skta hai affiliate marketing se . Lekin agar
aapka blog kisi technology
, gadgets ya camera se related hai tb aapke liye Affiliate marketing
jyada fayda dila skte hai . Agar aap kisi product ka review bhi karte
hain toh aapko affiliate marketing choose karna chahiye . Agar aap
blogging ke field me naye hain toh aapke liye dono mix karke achha rhega
.Mera matlab ki aap Adsense aur Affiliate Marketing dono ka use kar
skte hain apne blog par .Aur fir kuch time ke baad aap khud analyze kar
sakte hain ki kon sa better hai .Fir aap usi par focus kar sakte hain .
Google Adsense Aur Affiliate Marketing Dono Ek sath Kaise Use Kare:-
Agar aap apne blog par Adsense ke sath
sath Affiliate marketing bhi use karna chahte hain toh aap use kar skte
hain .Aur iske liye Google adsense bhi allow karta hai . Toh aapko karna
ye hai ki aap google adsense ke ads ko jaise aapne lagaya hai waisa hi
lage rhne de . Aur affiliate links ko post ke according uss post ke
content ke bich me link ko lagaye . Jisse visitor ki najar padegi aur us
link par click karke product ko kharid skta hai .
Kuch Affiliate Marketing Company in India:-
Mai aapko kuch aise company ke bare me
bta raha hu jiske through aap apne blog par affiliate link laga kar
paise kama skte hain.
Flipkart:- Flipkart ke bare me
toh aapne suna hi hoga. Jo India ki no . 1 Online Shopping Web Portal
hai . Aur iss website par lakho- karodo log ka bharosha hai . Toh aap
iska fayda utha skte hain . Iske liye aap apne blog par post se related
products ke link ko lga skte hain . Flipkart ke affiliate par sign up
karne ke liye yaha se jaye :- FLIPKART AFFILIATES
Snapdeal:- Dosto mujhe ummeed hai
ki Snapdeal ke bare me bhi mujhe jyada batane ki jarurat nahi hai .
Snapdeal bhi Flipkart ki tarah kaam karta hai . Toh aap snapdeal ke
affiliate par sign up karne ke liye yah se jaye :- SNAPDEAL AFFILIATES
Amazon India: Dosto Amazon bhi ek
shopping site hai toh aap iske affiliates ko bhi use kar sakte hain .
Amazon India ke affiliate ko signup karne ke liye yaha se jaye :- Amazon Affiliates
Dosto aise hi aapko kisi aur
affiliate marketing company ke bare me janna hai toh aap simply google
me uss company ka naam type kijiye aur uske aage likh dijiye Affiliates .
For example :- Flipkart Affiliates .
Fir aapko pata chal jayega ki wo company affiliate marketing karti hai ya nahi .
0 comments:
Post a Comment