Free Calling Ke liye Best Apps:-
Aaj kl free me internet , free me
call karna ,free me message send krna
bahut hi popular hai . Lekin free me calling ke liye acche apps ko dhudh
pana thoda mushkil hota hai . Aise me mai aapko kuch aise apps ke bare me
btaunga jo ekdum best apps hai aur ye apps lagbhag sabhi platform par kaam krte
hai .Jaise windows phone ,iOS , Android , PC etc sabhi jagah par work karte hai
.
Toh maine kuch apps ko uske
detail aur features ke sath list kiya hai :-
# 1.Google Hangouts:-
Google hangouts aisa app hai jo voice call ,
group voice call , photo sharing , message , voice message ,video etc bahut hi aasani se bheji ja skti
hai .Sbse bdi khasiyat yah hai ki Yah app Android ,iOS aur PC tino platform par
use kar skte hai . Aur maximum logo ke pass google account hota hai jisse login
karna bahut hi aasan hai .
#2. Viber:-
Sabhi smartphone
users iss app ko bakhubi jaante honge aur isko use bhi karte honge . Agar aapne
abhi tak isko try nahi kiya hai toh aap behichak iss app ko aaj hi download kar
lijiye kyuki yah app Bhi windows , Android par bahut hi ache se kaam karta hai
. Iss app ke help se aap dusre viber user ko free me voice call ,message ,
location etc share kr skte hai . Iss app me emoji ( symbols) send krne
liye bhi option hai .
#3 WhatsApp :
World ka sbse
popular messenger jisme voice calling ki bhi suvidha di gayi hai .WhatsApp ko
sabhi age ke log use karte hai . Iss app me aap voice call ke alawa , voice
message , message ,group chat , contact sharing , location sharing , photo
& video sharing etc kar skte hai wo bhi bilkul free.
#4 Line:-
Whatsapp ,Viber ki
tarah Line App bhi bahut famous app hai . Jisme aapko free voice calling ki
suvidhaa ke sath messaging , ,video calling , group chat bhi milti hai . Iss
app par aapko 10000 se bhi adhik attractive emoji milte hai . Yah app apko
sabhi platform par available milega .
#5 Nimbuzz:-
Nimbuzz application
bahut hi purana aur popular app hai .Jisne bahut saal phle hi VOIP calling ki
suvidha diya tha . Isse aap low rate par international call bhi kar skte hai .
Nimbuzz Android ,iOS ,windows phone ,windows pc etc par chalne wala app hai .
Yah 2G par bhi achha work karta hai .
#6 Boss Revolution :-
Windows , Anroind
smartphones par use hone wala Yah app bhi Internation calling aur messaging ki
suvidha deta hai . Iss app ka use karke aap PC aur phone se chat kar skte hai
.International calling ke liye low rate cost aapko pay karna padta hai.
Toh friends yah apps aap behichak use kar skte hai . Aap apni suvidha ke according koi bhi app install kar skte hai aur app ka maza le skte hai .
0 comments:
Post a Comment