Friends agar aapka phone kisi
wajah se chalu nahi ho rha hai ya sirf
starting screen par hi rook gaya hai . Kbhi kabhi Pattern Lock ko bahut jyada
baar galat open krne par aapka phone lock ho jata hai .Aur aise me aapke phone
me mobile data agr off rhta hai toh aap apne phone ko open nahi kr pate hai
.Aur koi option bhi nahi dikhayi deta
hai toh aise me aap service center ko hi jaate hai .Agar aapke phone ki
warranty khatam ho gyi hai toh service center aapko charge bhi karta hai.
Agar
aap apne phone ko khud se thik krna chahte hai to hiss post me btaye gye sbhi
steps ko follow kare .Fir aapka phone phle jaise ho jayega.Iss method ko Hard
Reset Kehte hai .Iss method me mai jo bhi steps use karunga wo lagbhag sbhi
android phone me ek jaisa hi hai . Maine kuch phone ka example bhi diya hai .
Android Phone Ko Format ya Hard Reset Krne se Phle kuch baate:-
Friends dhyan rhe iss step ko
krne ke baad aapke phone ka Data chala jayega . Isliye agar aapke pass BackUp
ho tabhi apne phone ko Hard Reset kijiye. Yaa Fir aapke Gmail ka password pta
hona chahiye .Jisse aap baad me login krke apna contacts ,aur gaming data
dubara pa skte hai .Aur haa Hard Reset Krne Se Phle aapka phone puri tarah se
off hona chahiye . Lock mode me bhi nahi . Agar switch off nahi ho rha hai
toh aapko battery bhi nikalni pad skti
hai .
Hard Reset karne ke liye steps:-
Step 1: Sbse phle apne
phone ke ko switch off kar dijiye.
Step2:- Fir apne phone ke
Volume Up(+) and Volume Down(-) button
ko press kijiye aur sath sath Power Button ko bhi press kijiye.
Step 3: Jab aap kuch
seconds tak dono button ko press kiye honge toh aapke screen par kuch options
dikhenge .
Step 4:-Ab un options me
aapko Reset ka option dikhega.
Step 5: Kisi bhi option
par jaane ke liye aapko Volume UP ya Down button ki help le skte hai .Aur ok
krne ke liye power Button ko click kre.
Step 6:- Jab aap Reset par
click kar denge ,toh aapka phone format hone lagega aur kuch time me Reboot
hokar aapka phone on ho jayega.
Iss tarah se aap apne phone ka
Pattern Lock ko tod skte hai ya Unbootable mode se Bootable mode me kar denge .
Disclaimer:- Maine aapko phle hi bta diya ki aap apne phone ke data ko kho denge . Isme meri website “www.TechYukti.com “ ki koi jimmedari nahi hogi. Isliye agar aap apne phone ke contacts & Data ke liye koi option dhoodh liye hai tabhi iss method ko try kare.
http://hindimejane.com/
ReplyDelete