How to create your own blog and earn money | अपना ब्लॉग कैसे बनाये और पैसे कैसे कमायें :
Hello Dosto, Kya
aap bhi apna blog bana kar paise kamana chahte hain, to aaj main aapko step by step
blog banana aur usse kaise earn karein ye bataunga. Aaj kal sabhi blog bana kar
rupye kamane ke tarike dhund rahe hain. Kayi sare bloggers roz blogging se 10$
se 50$ dollar tak earn kar rahe hain, blog se aap kitna earn kar sakte hain ye
aapke blog pe aane wale traffic pe depend karta hai. Blogging aapko ek
opportunity deti hai jisse aap apne thoughts ko logo tak pahuncha sakein, isse
aap achi khasi kamai bhi kar sakte hain. Bas apko apne blog pe aisi post dalni
hoti hain jisse jyada ae jyada log aapke blog par visit karein aur aapki post
padhein. Bahut se log blog apne knowledge ko logo ke bich share karne ke liye
banate hain. Isliye main aaj aapko bataunga ki aap bhi kaise khud ka blog bana
sakenge aur apne knowledge ko share kar payenge. Lekin ek dhyan me rakhne wali
baat ye hai ki aapki earning tabhi hogi jab
aapke blog par accha traffic hoga. Blog banana aur blogging karne ke
liye Expert coding ki bilkul jarurat nahi hoti hai. Main aapko aaj guide
karunga, to dekhte hain kaise aap blog banayein:
How to make your own blog on blogger:
Step 1:-Sabse
pehle www.blogger.com par jayein.
Step 2:-Ab apne
google account se Blogger par signup karein.
Step 3:-Successful
login ke baad ‘New Blog’ pe click karein.
Step 4:-Ab apne
Blog ka name enter karein, aur apne blog ke liye web address ke sath sath
template choose karein aur ok karein.
Step 5:-Ab Aapka
blog ready hai, New post par click karein aur apni pehli post ka title aur
content likh kar publish karein.
Ab aap apne blog
ke address pe jaker apni pehli post dekh sakte hain. Now keep posting aur apne
blog ko social sites pe promote karein jisse aapke blog pe traffic aaye. Apne
blog se rupye earn karne ke liye aapko google adsense pe apply karna hoga. Iske
lie www.google.com/adsense par
jayein aur adsense pe signup karein. After approval apne blog pe Ads code ko
insert karein. Pehle to main aapko apne blog ke template ko kaise change karein
aur usse attractive kaise banayein taki jyada visitors aapke blog pe aayein, ye
batata hu.
How to change theme(template) on blogger:
Step 1:-Theme ko
change karne ke liye aapko niche diye gaye link pe jana hoga:
Step 2:-Ab koi
bhi free Blogger template jo aapko accha lage, usse download kar lein.
Step 3:-Ab vapas
www.Blogger.com par aayein , aur apne blog pe click karein.
Step 4:-Ab ‘template’
pe click karein, uske baad ’EDIT HTML’ ko select karein.
Step 5:-Ab jo
apne template download kiya hai use open karein, Usmein ek A.xml file hogi, use
notepad me open karein, aur pure code ko copy kar lein.
Step 6:-Copy
kiye huye code ko Edit Html wale section me paste karein aur save kar dein. Ab
apne blog par visit karein, aapke blog ki appearance change ho gayi hogi.
To upar diye
huye steps se aapke blog ka template successfully set up ho gaya hoga. Agar
aapko abhi bhi template nahi pasand aa raha to aap use upar ke steps repeat
karke change kar sakte hain. Ab next step me google adsense ke liye kaise apply
karein ye dekhenge. Google Adsense Gives High CPC(click per cost), it means aap
isse earn kar sakte hain for every click.
Agar aapke blog
par ache khase visitors hog ye hain toh aap adsense ke liye apply kar skte hain
aur apne blog ke traffic se aap paise kama sakte hain.
यह भी पढ़ें:
How to earn money with google adsense:
Step 1:-Go to www.google.com/adsense ,aur sign up
karein.
Step 2:-Agle 2-3 din me aapko google ki taraf se adsense ke
approval ya disapproval ke liye mail aa jaega.
Step 3:-Agar
aapki application approve ho gayi ho to- www.google.com/adsense
pe jayein aur apne account credentials se login karein.
Step 4:-Ab aapko
‘Place Ads Code’ ki button dikhegi uspe click karein, apni ad unit ko title
edit karein aur’ save and get code’ pe click karein.
Step 5:-Jo code
screen pe appear ho use copy karein, aur apne blog pe aayein.
Step 6:-Ab
‘layout and Add Gadget’ pe click karein aur ‘HTML Javascript Gadget’ ko choose
karke usmein code ko paste karke save kar dein.
Ab 1-2 din wait karein, jab aapki site pe ads appear hone lagein to iska matlab hai ki
aapka account activate ho gaya hai. Ab apni website ko promote karein aur apni
earning ko google adsense pe dekhein.
Ab bas apne blog
pe post karein aur earn karein.
दोस्तों , अगर आपको
कोई भी समस्या है तो आप कमेंट द्वारा पूछ
सकते हैं. और प्लीज इस पोस्ट को अधिक से अधिक शेयर करे .
If you ever want to change or up your university grades contact cybergolden hacker he'll get it done and show a proof of work done before payment. He's efficient, reliable and affordable. He can also perform all sorts of hacks including text, whatsapp, password decrypt,hack any mobile phone, Escape Bancruptcy, Delete Criminal Records and the rest
ReplyDeleteEmail: cybergoldenhacker at gmail dot com