Tuesday, March 1, 2016

Vlog Kya Hota Hai ? Vlogging Se Paise Kaise Kamate Hain ? ( Youtube Tips #2 )

Vlog Kya Hota Hai ? Vlogging Se Paise Kaise Kamate Hain ? ( Youtube Tips #2 ):-

Hii Dosto !! Mai iss post me  Vlogging ke Bare me detail se batane wala hun . Agar aapko Vlog ke bare me thoda idea hai toh achhi baat hai . Aur agar nahi pata toh aapko jarur iss post se fayda milne wala hai . Vlogging Aur Blogging dono sunne me ek jaisa lagta hai  na . Toh mai aapko bta du  ki ye dono same hi hai bss thoda sa fark hai .




Blogging: Jo Kuch bhi hum likh ke internet par share karte hai jaise apna Knowledge , Kisi Chiz ke bare me apna review , Experience , Story ko Blog se share karte hai isko blogging kahte hain .

Vlogging:- Vlogging Ka pura naam Video Blogging hota hai . Ab thoda bahut aapko samjh aa gya hoga . Video Blogging ka matlab ki aap jo kuch likh ke share karte hain agar usko video bana kar youtube par ya apne blog par share karte hain usko Video Blogging ya Vlogging Kahte hain .


Toh jis tarike se Aap Blogging Karke paisa kamate hain thik ussi tarah se aap Vlogging Karke bhi paise kama sakte hain . Lekin Vlogging se paisa kmana sirf youtube se hi possible hai .




Agar simply baat kare vlogging kit oh Vlogging me hum Camera ke saamne apne baato ko bolte hain aur usko record karke Youtube par upload karte hain . Mai Vlogging ke bare me detail se shuru karne se phle aapko bata du ki Bahut saare Youtubers jo sirf apne vicharon (Thoughts ) ko Youtube par upload karte hai aur unke Lakho Subscribers hain .

Mai  India Ke  Young Youtubers ( Vloggers ) ka Example deta hun :
Abhishek Mishra:



Abhishek Mishra abhi bahut hi young Vlogger hain jo Youtube par controversial topic ke upar apne thoughts ko rakhte hain aur Youtube Par Upload karte hain . Current time me unke 35000+ subscribers ho gye hain .  Waise Abhishek Mishra ne apne Youtube Earnings ke bare me jyada khulasha nahi kiya hai Lekin unke channel ke views ke according unki monthly income 100000 INR se bhi adhik hai .
Aur Abhishek Mishra Blogger bhi hain Jinke Blog Ka Naam Hai : Gadget Ninja

Vasant Chauhan :



Vasant Chauhan Ek Part Time Vlogger hain . Jinke Youtube Channel Par 24000+ ke lagbhad Subscribers hain . Vasant Chauhan ek Motivational Speaker hai . Unhone jo kuch bhi apne life me face kara hai uske hi according video banate hai aur share karte hain .
Dosto Agar mai aise worldwide example du toh aise bahut saare vloggers hai jinke lakho subscribers hai . Lekin maine aapko bss kuch indian Vloggers ke bare me hi btaya taki aapko bhi vlogging karne ka motivation mil sake .

Vlogging Ke Liye Kya Chiz Ki Requirement Hogi :-
 Dosto agar aap soch rahe hain ki vlogging karne me bahut problem hai toh bhul jayiye . Mujhe lagta hai apne aap ko internet par publish karne ka sbse easy medium hai . Vlogging krne ke liye aapko jarurat padegi –
#1. Smartphone Or Digital Camera
#2. Video Editing Software / App
#3. Internet Connection
#4. CFL ( Light )
 Dosto mujhe lagata hai mai job hi chiz upar mention kiya hai wo aapke paas already hoga . Toh bass aapko vlogging ke bare me detail se jaanna hai aur shuru karna hai .
 Video Blogging Karne Ke Fayde:-
Vlogging ko shuru karne se phle aapko Vlogging ke Fayde ke bare me janna jaruri hai. Agar aap apne aap ko camera kea age nahi lana chahte toh bhi aap vlogging kar skte ho jaise “ Kya Kaise “ Youtube Channel ke owner sirf apni voice ko hi upload karte hain .
          Lekin agar aap camera ke saamne aate hain toh aapko jyada fayda milta hai . Chaliye mai un faydo ko btata hun .

#1. Unlimited Money Earning:- Agar sabse phle benefit ki baat kare toh wo hai ki aapke jitney jayda views honge utne jayda earnings hogi . Toh aapko motivate karne ke liye yahi kafi hai .

#2. Loyal Susbcribers (Fan) :- Agar aap camera par real dikhte ho . Yani aap jo kuch real life me ho aur usi tarah se apne aap ko Youtube Par bhi present karte ho toh aapke loyal susbcribers badhte hai . Wo aapko apna dost mante hain . Jisse aapko aur motivation milti hai . Aur Youtube ke according aapke pure videos ko susbcribers puri time tak dekhta hai jabki jo aapke subscriber nahi hote wo km time tak hi video dekhte hain .

#3.  Blog ke liye Video Bnana Bahut Hi Aasan hai :- Agar aap simply camera ke saamne khada hoker apni baat ko share karte hain toh aapko mushkil se 30 minutes lagte hain . Aur agar basic editing yani kaat chaat karni hai toh 30 Minute aur maan ljiye . Matlab ki aapka ek dhansu video 1 Hour me ready ho jata hai .  Toh Vlogging ka ek fayda yah bhi hai .

#4. Dusra Channel Bhi Popular kar skte hain :- Agar aapka personal blogging wala channel hit chala gya toh aap ek video series ke liye dusra channel bhi create kar sakte hain . Aur jab aap iss channel par dusre channel ke bare me batayenge toh jahir si baat hai aapke subscribers uss channel ko bhi subscribe karege .

#5. Topic Easily Mil Jana :- Vlogging me topic search krne me aapka time nhi waste hota hai . Aap agar ek baar vlogging karna start kar denge toh aapke paas topic hi topic honge . Agar aap news ke shaukeen hain toh aap daily koi na koi aisa trending news dekhte honge jo controversial ho jata hai . Toh aap uss news par apne thoughts rakh sakte hain . Aur jaise jaise aapke fans badhte jayenge aapko nye nye topic aapke fans hi suggest kar denge .
Vlogging ( Youtube Videos) Ko Viral Karne Ke liye 4 Best  Tarike:-
Agar aap abhi tak sure nahi hain ki kis topic par vlogging start karu toh mai aapko suggest karta hun . Aap niche bataye gaye topic me apna interest dhoodh lijiye aapko sure & Certain success milegi .

#1. Personal Topic:- Agar aap apne personal life se related interesting baato ko apne channel par share karte hain toh isse audience ko achha feel hoga  . Aur wo aapke videos ko dekhne me interest lenge aur aapko subscribe karenge .

#2. General Topic:- General topic me aap apne personal life se hatkar kuch aise topic ko choose kar skte hain jo lagbhag sabhi logo se relate kare . Jaise kisi Product ka review , Kisi Place par ghumne gye waha ka video  ya fir koi tutorial .

#3.Apne Aap ko Character ke roop me present kare :- Agar aapke andar kuch aisa talent hai jo logo ko dikhana chahiye . Jaise aap kisi story ko apne andaz me present kro comic style me . Mai ek channel ka example dunga : BB ki Vines

#4. Comment Video :- Jab aapke videos par aapke subscribers comment karte hai toh aap unme se kuch interesting comments ko sort kijiye . Fir uske base par ek interesting video bana skte hain.

          Mai aapko suggest karunga ki aap kisi bhi controversial topic ko pakde aur uspe video bana kar jald se jald upload karne ki koshish Karen .

Vlog ko start karne se phle 9 jaruri baate:-
Mujhe ummeed hai ki aapko thoda bahut idea mil gya hoga . Lekin fir bhi mai aapko kuch tips deta hun jisse aap ek ache level ka video bana skte hain .

#1. Clear Point Hona Chahiye :- Jo Successful vloggers hain unka ek clear funda hai ki unko kya bnana hai . Wo apni ek video me apne title ko cover kar lete hai . Agar wo social se related video banate hain toh sirf wahi bnayenge . Mix karne ki koshish bekar rhegi .

#2. Location Choose Kijiye :- Aap apna vlog shuru karne se phle aap apne video ka location choose kar lijiye . Agar aap ghar me video bana rahe hain toh dhyan rahe ki aapke video me dusri aawaj na aaye . Aur aapke piche ka background kisi ek color ka hona chahiye .

#3. Apna Look Decide Kare:- Video par aane ke liye aapko phle apna look decide karna padega . Jaisa aap formal dikhna chahte hai ya casual . Kon sa  Dress jyada suit karta hai .

#4. Proper Light :- Video banane se phle light ki arrangement bahut jaruri hai . Light hone se aapka video 4X jyada quality badha deta hai .

#5. Use Mic: Apne voice ko clearly record krne ke liye aap mick a use kare toh better hoga . Kyuki aapke video me voice ka 60% role hota hai . Ab aap khud hi smajh sakte hain.

#6. Be Comfortable :- Apne aap ko camera par comfortable feel kijiye . Apna confidence level kam mat hone dijiye .

#7. Better karne ki Koshis:  Aap har ek video me apne quality ko improve karne ki koshish kijiye .

#8.Edits: Video me thodi bahut editing jaruri hai . Aur agar aapko editing aati hai toh aur kamaal ki baat hai .

#9. Create & Upload:- Ab aap ready hai ek achha video banane ke liye . Toh shuru kijiye apna phla vlog .

Mai aapko apna suggestion dena chahta hu . Aap whi kijiye jo aapko pasand hai . Aap paise ke piche mat bhagiye . Kyuki aap jab apne pasand wali chiz karte ho toh Google Usi ke liye pay karta hai . Agar aapko fake lag raha hai toh Google Adsense ke Homepage ka tag line check kar skte hain .

दोस्तों यह आर्टिकल भले ही थोडा बड़ा है , लेकिन मुझे उम्मीद है की आपके लिए हेल्पफुल होगा . अगर आपको Youtube से related कोई भी जानकारी चाहिए तो मुझे contact कर सकते हैं .

1 comment:

  1. If you ever want to change or up your university grades contact cybergolden hacker he'll get it done and show a proof of work done before payment. He's efficient, reliable and affordable. He can also perform all sorts of hacks including text, whatsapp, password decrypt,hack any mobile phone, Escape Bancruptcy, Delete Criminal Records and the rest

    Email: cybergoldenhacker at gmail dot com

    ReplyDelete