Tuesday, March 1, 2016

Mobile Data bachane ke 5 tarike [Hindi]

Mobile Data bachane ke 5 tarike:-

Dosto agar Android phone use krte hai Aur internet chlane ke liye aap Data pack ka use karte Hi honge.Aise me Android phone ya koi or smartphone aapka data bahut jyada khapat krta hai.Jo aapke piye thoda mehnga pad skta hai.Toh chaliye mai apko kuch aise tips bataunga jiski help se aap ka mobie data bahut dino tk chal skta hai.

#1. Restrict Background Data ko On Kar de:-
Jab aap kisi app ko access krna band kr dete hai toh bhi aapka data background me chal rhe app me use hota rhta hai.Toh iske liye aap network setting me jaker Background Restrict Data on kar dijiye …Jisse aap jb bhi app ko on krenge tabhi aapka data pack use hoga.Usse aapka data bacha rhega.

#2.Use Data Saving Browser:
Agar aapne abhi tak apne phone me koi data saving browser install nahi kiya hai toh aap jaldi se koi aisa browser install kr lijiye jaise opera mini .Iske aapka 40% data bach jata hai aur kaam aapka 100% hota hai.

#3.Use Mobile Version Websites: -
koshish yahi kare ki aap apne phkne par jo bhi website khole wo mobile version hi ho..Jisse aapka jyada data nahi kharch hoga..Aur mobile version aapke phone me achhe se dikhega bhi.Jisko aap assani se access kar skte hai.

#4.Apne phone ki Cache memory ko clear na kare: 
Bahut saare user apne phone ki memory badhane ke liye cache memory ko clear kar dete hai.Aapka storage toh badh jata hai lekin jb aap net use krte hai toh jo pages or data save rhte hai wo fir se download hone lgte hai. Jisse aapka adhik data khatam hota hai.Isliye dhyan rakhe ki Cache memory ko clear na kare.

#5. In tips ko bhi aajmaye:- 
*Raat ko sone ke time apna data off kar de.
*Data limit ko set kar de jisse aapko phle pta chal jayega ki Kitna MB bacha hai.
*Data usage ko bhi check kare jisme aapko pata chlta hai ki kon sa app kitna data le rha hai.Aur agat uss app ki jarurat nahi hai toh usko uninstall kar dijiye…!!

Dosto aap inn 5 tips ko apnaye …isse jarur aapka data 30% jyada chlega…Mai apna experience share kr rha hu. Aur iss article ko apne dosto ke sath share kijiye …!!

0 comments:

Post a Comment