Tuesday, March 1, 2016

Android Phone Ko Root Kaise Karte Hai ? Rooting Ke Fayde Aur Nuksan

Android Phone Ko Root Kaise Karte Hai ? Rooting Ke Fayde Aur Nuksan

Hi Friends !! Maine bahut jagah par dekha log Apne Android phone ko root karna chahte hai . Maine Whatsapp Group , Facebook group jaise jagah par " Rooting Kaise Hoti Hai " jaise question  bahut dekha . Toh Chaliye Mai iss post me Rooting Ke Baare me sabhi questions ko clear kar deta hun . Jisse Aap bhi apne Android Phone ko Root Karna Sikh Jayenge .




Android phone ko root krne ke baad usme bahut se changes  aa jate hain . Aap apne android phone ko apne accoorging  customize (Use) kar skte hai. Aap phone ke Jad (“Root”)  tak ja skte hai aur apne phone ke sath kuch bhi kar skte hai .
Kya Hai Rooting :-
 Phone rooting ka seedha matlab phone ke OS (Operating Sysmtem Software) ke jad (जड़) tak pahuchna hai aur usme manchahe badlaw krna. Root ke dwara aap apne phone ka Interface , Locking System , Pre-Installed App( Phle se Installed App) ko apne hisab se change ya Delete  kar skte hai . Basically, Phone root me jo OS yani Android Ka Software install hota hai uske jagah par Custom Android OS daalte hai .

यह भी पढ़ें:-



Apne Phone ko root krne se phle aapko Rooting ke fayde aur Nuksan ( Pros & Cons) ke Baare me jaanna bahut hi jaruri hai . Kyuki agar aapne kisi bhi instructions ko Halke me liya toh aapka phone dead bhi ho sakta hai  . Isliye aap niche diye gaye Fayde aur nuksan ko dhiyan me rkhte huye apne phone ko Root kare .

Android Phone Ko Root Karna Kyu Jaruri Hai :-
Android Root

 Friends !!  Root karne se phle hume ye janna jaruri hai ki rooting kyu jaruri hai. Aapne google ke Playstore me dekha hoga ki bahut sare applications hai jo sirf rooted phone ke liye  hi kaam karte hai . Aur agar aapko phone ke sath kuch alag experiment krna hai toh yah sirf rooting ke baad hi possible hai hai .

Pros of Rooting( Fayde):-
Do anything( Change UI):-
Sbse phle agar rooting ke fayde ki baat kare toh rooting se aap apne phone me kuch bhi kar skte hai mtlb kuch bhi . Agar aapko thoda sa Android se related Technology ke bare me pta hai toh aap  apne phone ke UI( User Interface) Ko change kar skte hai .

Boost Your Phone:-
Aajkl ke phone me phle se hi kuch app install hote hai toh aap un aap ko Uninstall krke apne internal  memory ko badha skte hai .  aur aajkl playstore par Rooted phone ke aise aise software/apps available hai jinki help se aap apne phone ko High-Advance bna skte hai .  Aise aap rooted phone ke liye isliye available hote hai kyuki rooted phone me apps ko Phone ke andar tk jaane ka permission mil jata hai.

Battery Life, Processor Speed: 
  Itna samajh liye phone ko root krne ke baad aap apne phone ke sath bahut kamaal kr skte hai chahe wo Battery life ki baat ho yaa customized User Interface ki . Aap apne processor ko Overclock ya Underclock kar skte hai . Iska matlab ye hai aapka processor speed aap badha skte hai ya ghta skte hai. Ye aapke upar depend karta hai.


 Ad-free App  :- 
   Apne phone ke Sleep time ko bhi badha skte hai . Phone pe aane wale advertisement ko bhi khata kr skte hai . Aap custom Rom install kr skte hai . Custom ROM ko install krne se aapko Nye Nye Options bhi mil jate hai.

Toh aap dekh skte hai ki aapke phone ko root karne ke baad kitni possibilities badh jati hai .

Cons of Rooting (Nuksan) :-  
Warranty Problem:- 
Agar Rooting ke Nuksan ke bare me baat kre toh sbse phle baat aati hai ki Phone ki warranty chali jati hai . Kyuki Rooting me aap apne phone ke security lock ko bhi tod ke Phone ke root tk jate hai .  Warranty wala mamla sirf  badi company jaise Samsung ,HTC ,LG ,Sony , Motorola me hai jbki Xiaomi , One Plus jaise phone Rooting allow krti hai .

Phone May Dead:-
Aapko root karte samay sabhi instruction ko follow krna hota hai nahi toh aapka phone dabba ho jayega . Toh root karne se aapko dhiyan dena jaruri hai. Phone ko root krne ke baad agar aapne kisi bhi publisher ka app install kiya toh agar koi virus attack hota hai aapke phone pr toh uske jimmedaar sirf aap honge .

Only Custom OS can Install:-
            Android ka koi bhi latest version aapko phone ke company dwara nahi milegi . Aapko custom OS mil skta hai .Jisko Aap apne phone me install kr skte hai . Aur haa rooted phone me Apko Wallet se related koi app nahi milega .

Upar jo bhi maine fayde aur nuksan btaye hai agar aapko in nuksan se koi fark nahi pdta hai aur aap apne phone ko root krna chahte hai toh chaliye mai btata hu ki aapko root krne ke liye kya krna hai . Niche diye gaye job hi steps hai aapko follow krne hai .

Android Phone Ko PC se  Root Karne Ke Liye Steps:-
Step1 : Aap sbse phle apne PC me KingoRoot Software download kar lijiye . Aap yaha se bhi download kar skte hai . Download KingRoot (http://www.kingoapp.com/android-root/download.htm)

Step2:-  Software install karne ke baad jb aap usko open krenge toh Phone ko connect karne ke liye kahega .




Step3: Phone ko connect krne se phle Settings me Jaakar USB Debugging ko On kr de . USB debugging ka option aapko developer  Options me milega .




Note: ( Agar aapka Developer Options show nahi kr rha hai toh aap  Build Numbers par lagataar 7 baar Tap kare . Fir aapko About phone ke option me Developer Options show krne lgega. )

Step 4:- Phone PC se connect hone ke baad Aapko ROOT krne ka option milega .Aap Root pr click kar dijiye aur Aage ke Information ko pdhte huye  aage badhte jaye .

Step 5:- Jaise hi Rooting Process khatam hoga .Wha par finish likh kar aa jayega

Iss tarah se aapka phone root ho jayega .

0 comments:

Post a Comment