Mobile Ya PC me Fast Hindi Kaise Type Kare:-
Hello Dosto !! Kaise ho aap sab
!! Ummeed hain , aap log ache honge. Aaj mai aap logo ko iss post me bataunga
ki aap kaise apne smartphone ya PC me Hindi Font me fatafat typing kar skte
hain
Kuch log ko Hindi me Messaging ya Blogging karna bahut hi achhha lagta
hai .Lekin PC ya Smartphone ke traditional Hindi Keyboard me utni jaldi typing
nahi ho pati jitni jaldi hum Roman me kar pate hai . Mai jis tarike se post
likhta hu isko hi Roman kaha jata hai. और अब जिस तरीके से लिखा जा रहा है , इसको हिंदी
font कहते हैं . तो अगर आपको भी इसी तरह के मेसेज या ब्लॉग पोस्ट हिंदी font में
जल्दी से लिखना है तो आप भी लिख सकते हैं . अब आपको कीबोर्ड में एक एक अक्षर को
ढूढना नहीं पड़ेगा . सिर्फ आपको रोमन में लिखना है और गूगल के द्वारा बनाये गए
ऑफलाइन एप्लीकेशन से अपने आप हिंदी font में बदल जायेगा . तो चलिए पहले देखते हैं
की PC में हिंदी font टाइपिंग के लिए क्या करना
पड़ेगा:-
PC me Hindi Font Likhne ke liye:-
Step#1:- Sbse phle aap iss link se “Google Input Tool” download karle .
Note:- Aap chahe toh Hindi ke alawa kisi aur regional language ko bhi download kar skte hain . Jaise Panjabi , Gujrati ,Bengali etc.
Step#2:- Jb Google Input Tool
Install ho jaye tab aap ko ek aur installation process milega .Kuch der aapko
wait karna pdega.
Step#3:- Fir jab puri tarike se
input tool install ho jaye tb aapko
Right Corner me ek “ENG” likh kar option dikhega .
Step#4:- Ab aap uss “ENG” par
click karenge . Usme aapko Hindi
Language select karne ke liye option milega . Aap Hindi Par click karke usko
apne input language ke roop me set kar lijiye .
Step#5:- Ab aap jo kuch bhi type
karenge roman me ab wo siddha Hindi me convert ho jayega . Iske liye aapko net
ki bhi jarurat nahi padegi .
Toh dosto ya tarika tha PC ke
liye . Yani aap apne computer ya laptop me ek Chhota sa Application install
karke Hindi Font me offline typing kar skte hain .
Smartphone Me Kaise Kare Hindi Typing:-
Ab dosto jaan lete hain ki
Smartphone (android ) me Teji se Hindi Typing Kaise karte hain . Dosto jaisa ki
aapko PC me ek application ki jarurat padi jo Google ke dwara provide kiya gya
hai . Ab issi tarah google ne Android Phones ke liye bhi ek keyboard Banaya
hain Jiska naam hai “ Google Indic
Keyboard” .
Kaise set karte hai mobile me Hindi Typing:
Step#1:- Sbse pehle aap Play Store se “ Google Indic
Keyboard “ Download karke install kar lijiye.
Step#2. Ab aap “Google Indic
Keyboard “ ko open kijiye.
Step#3:- Jab aap iss app ko open
karte hain toh aapko kuch options dikhayi denge . Jo niche dikhaye gaye image
me hai.
Step#4:- Ab aapko input language
set karne ke liye bola jayega . Aap select input language par click kijiye.
Step#5:-Fir aap “Use system
language” ko on kar dijiye . Agar aapko koi aur language choose karna hai toh
aap usko off karne ke baad dusre language ko set kar skte hain. Maine Hindi
& Hinglish Select kiya hua hai.
Step#6:- Dosto ab aap jo kuch
type karenge aapka likha hua Hindi Font me automatic convert ho jayega .
0 comments:
Post a Comment