Apne Mobile Website/Blog Ko Optimize Kaise Kare (SEO) [Hindi] :-
Aajkal website ya blog par sbse
jyada traffic phone se aata hai . Isliye sbse Important yah hai ki hume apne
blog ya website ko mobile ke liye optimize karna. Mobile ke optimize karne ka
matlab yah hai ki aapka blog mobile par ache se open hota hai ki nahi, kitna
time leta hai open hone me etc. Iss post me mai aapko blog ko optimize karne ke
liye kuch tips btaunga jisse aapka aur behtar ho jayega.
#Tip 1:- Apne mobile site ka load time fast kare:-
Yah decide kar lijiye ki aapke
blog ka load time kitna hai. Kyuki 29% mobile users load time jyada hone ke
karan dusre site par switch kar jate hai . Jo hamare blog ke liye achha nahi
hota hai . Aur 40% se jayda mobile user aapke blog ko chhod dete hai agar aapka
blog open hone me 3 seconds se jayada time leta hai . Isliye sbse important
baat ki aap apne blog ka load time fix kare.
“Apna Load Time check karne ke
liye aap google dwara provide kiye gaye website par ja skte hai.
: Google Developer Page Speed
Insight Tools.
#Tip 2:- Kya Aapka blog mobile friendly hai :-
Aapke blog par koi bhi template laga hai aur
wah mobile friendly nahi hai toh usko
turant remove kar de. Aapko google par
mobile friendly blogger templates mil jayenge.
Agar aapka blog Mobile-Friendly nahi hai toh aapka blog google
search me bahut km ya na ke barabar aayega. Aur agar aapka blog google search
result me nahi aata hai toh aapke likhe huye sare post bekar hai .
Apne
blog ke mobile friendliness check karne ke liye google dwara provide
kiye gaye website par jaye: “Google
Developers Mobile Friendliness Test.
#Tip 3:-Quality Content Likhe :-
Apne blog par hamesha yah dhyan de ki aapke dwara publish kiya gaya post
quality wala ho . Iske liye aapko niche
diye gaye baato ko dhyan me rakhna padega.
Make Readable Text:- Jab
bhi kuch likhe aisa likhe ki wo padhne me jaldi aaye. Usko aasani se padh kar
samjha ja skte. Isko Eye-Catching Techniches bhi bolte hai.
Size of content: Aapne jo
bhi content likha hai uske font ka size itna hona chahiye ki user ko Padhne ke
liye zoom na karna pade. Isliye aapko content ka size bhi dhyan me rakhna
pdega.
Link placing between content:-
Aap jab ko bhi koi post likh rahe hai aur agar uss post me aapko kisi dusre
post se related keyword mile toh aap apne dusre post ka link uss content me eye-catching
style me de de. Jisse user ko agar uss post me interest hoga toh uss post ko
open kar lega. Jisse aapka hi fayda hoga. Aur iss tarah se aapke sabhi post ko
barabar visitors milte rahenge.
User ke need ko analyze kare: Aap apne statistics me check kare ki aapke
blog par visitors kya search karke aate hai . Aur uss keyword ko search karne
par search engine me aapka position kya hai .Ye sab check karne ke liye aap
google analytics se dekh skte hai ya Search console (Webmaster) se. Aur iss
tarah se agar uss keyword se relavant koi post aapke blog par nahi hai toh uske
bare me apne blog par post likh post kare. Isse aapke blog ko ek uniqueness
milti hai. Aur aapka blog mobile friendly hone ke sath sath search engine me
upar aane lgta hai.
Promarsh
ReplyDeleteNice article
Website optimization kaise kare
ReplyDeleteBahut Acchhi Jankari Di AApna
ReplyDeleteguys, You May Like https://www.techwithanurag.xyz/2019/07/website-optimize-kaise-kare-hindi.html