Smartphone Ko Bechne Se Phle Jaane Kuch Important baate:-
Hi Friends , Agar aapke pass koi
smartphone hai . Aur iss phone ko liye huye jyada time ho gya hai aur
iss phone se bor ho gye hai toh aap jarur chahenge ki koi new feature
wala phone kharide aur iss phone ko bhechna chahenge . Lekin jab aap
phone ko bechte hai toh aap ye sochte hain ki sirf restore kar dene par
aapka data delete ho jata hai toh aisa sochna aapka galat hoga . Aapko
shayad hi pata ho ki aapke phone ko format karne ke baad bhi jo banda
aapse phone kharidega wo Data ko recover bhi kar sakta hai . Aur iss
tarah se aapka data leak ho jayega .
Aaj mai iss post me bataunga ki aapko
apne phone ko bechne se phle kya kya ka karna chahiye jisse naye owner
ko aapka data na mil sake .
Aksar log kya karte hain ki jab phone
bechna hota hai tab settings me jaaker Reset kar dete hain aur sochte
hain ki phone format ho gya aur Purane data ko dusra banda use nahi kar
payega . Dekhiye mai saaf saaf bata rha hu ki aap galat sochte hai . Aur
kabhi kabhi hum pendrives ya memory cards ko bhi ek simple format karke
kisi ko bhi de dete hain . Aur hume lagta hai ki pendrive toh bilkul
khali hai .
Aapko
nahi pata ki aapke personal photos , videos , contacts ko koi kis tarah
se misuse kar skta hai . Aap iska andaza bhi nahi laga sakte hain . Toh
dosto mai aapko yah jarur suggest karunga ki aap iss post me bataye
gaye steps ko jarur follow kare agar aapko apna phone exchange karna hai
ya bechna hai . Yaa kabhi aap apne dost ko pendrive ya memory card dete
hai toh .
Bechne Se phle Follow Kare Ye Steps:-
Dosto jab hum files ko delete karte hain
ya format karte hai toh real me wo delete nahi hote , wo bss show krta
hai delete ho gya hai . Jab tak hum koi nayi file na store kare tab tk
wo file usme save rhti han . Aur jab hum ko simple recovery software ka
use karte hain toh wo data aasani se recover ho jate hain . Toh ye chiz
memory card , pendrive ke sath sath phones par bhi lagu hoti hai .
Kyuki Internet par abhi aise bahut se softwares hain jika use karke
phone ko factory reset ke baad bhi uska data recover kiya ja skta hai .
Memory Cards Or Pen Drive ko Exchange karne se pahle kare ye steps:-
Step #1:- Sbse phle memory card ya pendrive ko format kijiye .
Step2#:- Fir uss pendrive me koi bhi files jaise MP3, Movies se bhar dijiye .
Step3#:- Fir Usko Dubara se format kijiye . ( Uncheck Quick Format )
Ab kya hoga ki jab koi banda aapke
pendrive ko recover krne ki koshish karega toh usko bss movies aur mp3
hi milenge .. Aapka phle wala data nhi milega .
Smartphones Ko Bechne se Phle Kare Ye steps:-
Step#1:- Sbse pehle phone ko Reset ya format kijiye .
Step#2:- Fir phone ko ON kijiye .
Step#3:- Ab phone me koi bhi gmail id mat daaliye .
Step#4:- Fir se phone storage ki jitni bhi capacity hai utni Movies , MP3 bhar dijiye .
Step#5:- Ab dubara se format kar dijiye aur jisko bechna hai bech dijiye .
Dekhiye dosto .. Agar aap isko seriously
nahi lete hai toh aapke sath bhi koi kahani ho skti hai . Kyuki agar
aap phone ko kisi shop par dete hain banne ke liye ya kisi friend ke
sath exchange karte hain toh kuch bhi ho skta hai. Isliye mai recommend
karta hu ki aaj ke baad iss chiz ko apne mind me daal lijiye . Aajkal
kisi par bhi bharosha nahi kiya ja sakta . Aur aapko toh pata hi hoga ki
aapke phone me personal chize kitni maayne rakhti hain .
दोस्तों उम्मीद है यह पोस्ट आपको पसंद आया
होगा . कृपया इस पोस्ट को शेयर करे ताकि और लोगो को भी इसके बारे में पता
चल सके . और इस ब्लॉग के न्यूज़ लैटर को सब्सक्राइब कर लीजिये ताकि आपको
daily एक टेक पोस्ट आपके इनबॉक्स में मिलता रहे .
0 comments:
Post a Comment