Paid Andorid Apps & Games Ko Free Mein Download Kare (2 Methods):
Jaydatar log android
phones ke taraf khiche chle ja rahe hai jiska ek hi reason hai –Dher saare apps
& Games .Aur sabhi log apne smartphone me naye naye apps aur games download
krne ke bahut hi shaukeen ho gye .Google play store par hume lakho apps
milte hai jisko hum download karke uss app ko enjoy kar skte hai .
Lekin kabhi kabhi
ache ache games aur apps free me nahi milte hai jisko download karne karne ke
liye hume jeb dhili karni padti hai . Isiliye iss chiz se bachne ke liye mai
aapko aise 2 methods ke bare me batunga jiski helpse aap koi bhi paid game ya
app aasani se free me download kar skte hai .Yah bilkul hi legal tarika hai
iske liye na hi apko root karna hai aur na hi aapko kuch hack karna hai .Aapko
bss kuch simple steps follow karne hai .
1#. Method :- Black Mart Alpha App ke dwara:-
Paid app ko free me
install karne ke liye jo pehla method hai wo hai ki aapko ek app install karna
hai jiska naam hai “Black Mart Alpha “ .
Fir aap niche btaye
gaye steps ko follow kare.
Step1:- Sbse phle aap “Black
Mart Alph” App ko download kar lijiye .Aur fir apne phone me install kar lijiye
.
Step2:- Ab aapko job hi paise
wale apps download karne hai usko Play store me search kijiye aur uss app ka
naam aur version acche se dekh lijiye .
Step3:- Ab “Black Mart Alpha “
ko open kar lijiye aur uske search box me uss app ka naam daal kar search
kijiye jo aapne play store me kiya tha .
Step4 :- Ab uss app ko
download kar lijiye “Black Mart app “ ke dwara .
Step5:- Iss tarah se aap ek
paid app ya game ko Black Mart Alpha app ke dwara free me uss app or game ko
install kar skte hai .
2#.Method (4Shared.com or mediafire.com)
Kisi bhi paid game ya app ko free me download karne ka jo
dusra method hai woe k website ke through hai jiska naam hai 4shared.com or mediafire.com . Inn website se paid apps ko free me download krne ke liye
bataye gaye steps ko follow kijiye .
Step1. Sbse phle apne PC ke browser se 4shared.com ya mediafire.com par jaye
.Aap in dono websties ke app bhi download kr skte hai apne phone me .
Step2. Iss site ko open karne ke baad aap search box me uss app ka naam likhe
aur naam ke just baad (.apk) likh kar enter kare. Jaise (game.apk) .
Step3:- Ab aap uss search result se apna desired app download kar lijiye aur
apne phone me transfer kar lijiye .
Step4:- uss downloaded app ko apne phone me install kar lijiye aur enjoy kijiye
paid game ya app ko free me .
Iss tarah se aap in dono methods se paid games aur apps free me paa skte hai .Aap inn apps ko apne friends ko share bhi kar skte hai .Toh dosto agar yah article aapko pasand aaya toh isko share karna na bhule aur meri site TechYukti ko bookmark save kar lijiye kyuki issi tarah se mai daily ek technology se related ek post dalunga jo aapke liye helpful ho skta hai .
0 comments:
Post a Comment