Tuesday, March 1, 2016

स्मार्टफ़ोन बेचने से पहले कुछ बातें | Memory Cards | Pendrive 【Hindi】

Smartphone Ko Bechne Se Phle Jaane Kuch Important baate:-

Hi Friends , Agar aapke pass koi smartphone hai . Aur iss phone ko liye huye jyada time ho gya hai aur iss phone se bor ho gye hai toh aap jarur chahenge ki koi new feature wala phone kharide aur iss phone ko bhechna chahenge . Lekin jab aap phone ko bechte hai toh aap ye sochte hain ki sirf restore kar dene par aapka data delete ho jata hai toh aisa sochna aapka galat hoga . Aapko shayad hi pata ho ki aapke phone ko format karne ke baad bhi jo banda aapse phone kharidega wo Data ko recover bhi kar sakta hai . Aur iss tarah se aapka data leak ho jayega .
Aaj mai iss post me bataunga ki aapko apne phone ko bechne se phle kya kya ka karna chahiye jisse naye owner ko aapka data na mil sake .
Aksar log kya karte hain ki jab phone bechna hota hai tab settings me jaaker Reset kar dete hain aur sochte hain ki phone format ho gya aur Purane data ko dusra banda use nahi kar payega . Dekhiye mai saaf saaf bata rha hu ki aap galat sochte hai . Aur kabhi kabhi hum pendrives ya memory cards ko bhi ek simple format karke kisi ko bhi de dete hain . Aur hume lagta hai ki pendrive toh bilkul khali hai .
Aapko nahi pata ki aapke personal photos , videos , contacts ko koi kis tarah se misuse kar skta hai . Aap iska andaza bhi nahi laga sakte hain . Toh dosto mai aapko yah jarur suggest karunga ki aap iss post me bataye gaye steps ko jarur follow kare agar aapko apna phone exchange karna hai ya bechna hai . Yaa kabhi aap apne dost ko pendrive ya memory card dete hai toh .
Bechne Se phle Follow Kare Ye Steps:-
Dosto jab hum files ko delete karte hain ya format karte hai toh real me wo delete nahi hote , wo bss show krta hai delete ho gya hai .  Jab tak hum koi nayi file na store kare tab tk wo file usme save rhti han . Aur  jab hum ko simple recovery software ka use karte hain toh wo data aasani se recover ho jate hain . Toh ye chiz memory card , pendrive ke sath sath phones par bhi lagu hoti hai .  Kyuki Internet par abhi aise bahut se softwares hain jika use karke phone ko factory reset ke baad bhi uska data recover kiya ja skta hai .
Memory Cards Or Pen Drive ko Exchange karne se pahle kare ye steps:-
Step #1:- Sbse phle memory card ya pendrive ko format kijiye .
Step2#:- Fir uss pendrive me koi bhi files jaise MP3, Movies se bhar dijiye .
Step3#:- Fir Usko Dubara se format kijiye . ( Uncheck Quick Format )
Ab kya hoga ki jab koi banda aapke pendrive ko recover krne ki koshish karega toh usko bss movies aur mp3 hi milenge .. Aapka phle wala data nhi milega .
Smartphones Ko Bechne se Phle Kare Ye steps:-
Step#1:- Sbse pehle phone ko Reset ya format kijiye .
Step#2:-  Fir phone ko ON kijiye .
Step#3:- Ab phone me koi bhi gmail id mat daaliye .
Step#4:-  Fir se phone storage ki jitni bhi capacity hai utni Movies , MP3 bhar dijiye .
Step#5:-  Ab dubara se format kar dijiye aur jisko bechna hai bech dijiye .

Dekhiye dosto .. Agar aap isko seriously nahi lete hai toh aapke sath bhi koi kahani ho skti hai . Kyuki agar aap phone ko kisi shop par dete hain banne ke liye ya kisi friend ke sath exchange karte hain toh kuch bhi ho skta hai. Isliye mai recommend karta hu ki aaj ke baad iss chiz ko apne mind me daal lijiye . Aajkal kisi par bhi bharosha nahi kiya ja sakta . Aur aapko toh pata hi hoga ki aapke phone me personal chize kitni maayne rakhti hain .

दोस्तों उम्मीद है यह पोस्ट आपको पसंद आया होगा . कृपया इस पोस्ट को शेयर करे ताकि और लोगो को भी इसके बारे में पता चल सके . और इस ब्लॉग के न्यूज़ लैटर को सब्सक्राइब कर लीजिये ताकि आपको daily एक टेक पोस्ट आपके इनबॉक्स में मिलता रहे .

0 comments:

Post a Comment