Phones Me Use hone wale Secret Codes (USSD Codes) :
Dosto aajkal phone hmare life ka
abhinn ang ban gya hai .Matlb ki hume bina phone ke chain nahi milta hai . Aap
apne phone ke sath itna time spend krte ho lekin kya aapko pata hai aapke phone
ke liye kuch useful secret codes hai jinki help se aap kuch seconds me apne
phone ka IMEI no. ,Service Menu ,Battery Status , Vibration Test etc bahut
saare aise kaam aap kar skte hai . Chaliye mai batata hu alag alag company ke
phones me kon sa secret code use hota hai .
Android Codes:-
1. *#06#
: Yah code aap apne dialer se dial karenge toh aapko aapke phone ka IMEI number
pata chlega.
2. *#0*#
:- Iss code ka use phone ke service menu me jane ke liye use kiya jata hai .
3. *#0228#
:- Phone ke Battery Status ko check karne ke liye iss number ko dial kijiye .
4. *#9090#
/ *#1111# Iss code ka use karke aap phone ko service mode me kar skte hai .
HTC Codes:-
1. *#*#0842#*#* : Apne phone ka vibration aur backlight test
karne ke liye iss code ka use kare.
2. *#*#*0*#*#*
- iss code se phone ka LCD test hota hai.
3. *#*#2664#*#*
- Touch screen ko test karne ke liye iss code ka use hota hai.
4. *#*#232337#*#*
- Bluetooth Ke bare me batata hai yah code.
5. *#*#3264#*#* - RAM ka Version check karne
ke liye iss code ko dial kare.
Nokia Phone Codes:-
1. *#0000#
:- Aap iss code ke help se apne phone ka model number,software version
,software release date ka pta lga skte hai .
2. *#92702689#
- yah code manufacturing date aur total call duration btata hai .
3. *#7780#
- Phone ke setting ko resotre karne ke liye aap iss number ko dial kar skte
hai .
4. *#7370#
- Multimedia phone ko format karne ke liye iss code ka use kare.
5. *#2830#(*#bta_#)
– Phone ke Bluetooth ke details btata hai .
Dosto ye sabhi codes tested hai agar inme se koi code kaam nhi krta hai toh aap comment karke bta skte hai . Usko update kr diya jayega .Aur agar apko bhi isse alag koi code pta hai toh aap niche comment kar skte hai .
0 comments:
Post a Comment