Android Phone ko Fast Karne Ke 3
Best Apps :-
Hi friends agar aapke pass
Android phone hai aur aapka phone thoda slow kaam karta hai aur aapko thoda
irritate karta hai toh yah post aapke liye bahut hi useful hai . Kyuki iss post
me mai apko btaunga ki aap apne Android phone kaise boost kar skte hai . Aap apne
phone ko sirf boost hi nahi balki apne
phone ke system performance ko bhi increase kr skte hai .Mai aapko 3 best apps
suggest karunga .Jinme se aap kisi ek ko use karke apne phone ko boost kar skte
hai .
Greenify:-
Greenify app jaisa ki iska naam
hai waisa hi iska kaam hai .Matlab yah aapke phone ko hara bhara kar deta hai .
Jb koi app backgroung me run kar rahi hoti hai tab yah unn apps ho Hibernate
kar deta hai yani Band kar deta hai jisse aapki battery ke sath sath RAM ki bhi
bachat hoti hai . Iss app ko use kar ke
aap apne phone me gajab ke changes la skte hai . Jaise performance , battery
aur RAM inn sb chizo ko yah better kar dega . Greenify behad hi simple aur
gajab ka application hai . Yah anya 2 app se better app hai .Toh phla
recommendation Greenify hi hai .
SD maid ke developer aapko salah
dete hai ki aap iss app ko apne risk par use kijiye . Jbki Greenify app bahut
hi behtar app hai jo android ke dwara bhi recommend kiya jata hai .Lekin fir bhi
SD maid bahut hi powerful tool hai .SD maid purane files jo kisi app ko
uninstall karne ke baad bhi pade rhte hai unko puri tarah se delete karta hai
.Jisse aapka kuch storage free hota hai aur iss tarah se aapke phone ka performance
bhi badh jata hai . SD maid yah bhi ensure karta hai ki agar aapke phone ko
faltu ka folder ya file hai toh usko detect karke delete karta hai .
Aap is link se SD Maid ko install
kar skte hai :- Play Store
Jo 3rd app hai wo hai
Android Assistant . Iss app ko sirf ek single tap se use kiya ja skta hai .Yah
aapke system ko monitor krne ka bahut hi badhiya tool hai .Android Assistant
aapke files ,settings ,CPU,RAM,ROM ,SD cards ,Battery etc par najar rkhta hai
.In sbko control krta hai .Iske sath sath yah cache file ko delete krke CPU ko
fast karta hai . Yah phone ki battery ko bhi bachata hai .
Aap is link se Android Assistant
ko install kar skte hai :- Play Store
0 comments:
Post a Comment